Wednesday 23 February 2011

Chand adhura hai sitaro ke bina,
gulshan adhura hai bahaaro ke bina,
samundar adhura hau kinaro ke bina,
jeena adhura hai tum jaise yaaro ke bina!!!
Yeh mat sochna ki hum bhool jayenge tuemhe,
Door rehkar bhi hamesha
chahenge tumhe,Agar Dost bankar raas na aaye to
Bhoot bankar darayenge tumhe.
Aaj vo humse jannat mein takra gaye
Aaj vo humse jannat mein takra gaye
Aur humare dil se awaaz nikalii....
Fiteh Mooh...Tusin Ethe vii aa gaye !!!
Tum paas hot to tujhpe pyar aata hai,
Tum door ho to tera intezaar satata hai.
Kya kahe is dil ki haalat ki,
Tujhe yaad kar karke hume bukhaar ho jaata hai.

Coca cola

Main uski yaad mein ban gaya baraf ka gola
Main uski yaad mein ban gaya baraf ka gola
aur vo boli ki Thanda matlab Coca Cola

Tuesday 22 February 2011

Exam

exams ke 4 din pehle syllabus dekha to yaad aaya
KUCH TO HUA HAI KUCH HO GAYA HAI,
exams ke din paper dekh kar yaad aaya
SAB KUCH ALAG HAI SAB KUCH NAYA HAI.
Kuch nasha to aapki baat ka hai
Kuch nasha to dheemi barsaat ka hai
Hame aap yuhi sharabi na kahiye,
Yeh dil par asar to aapse mulaqat ka hai.
Ham tere dil mein rahenge ek yaad bankar,
Tere lab pa khilenge muskaan bankar,
Kabhi hamein apne se juda na samajhna,
Hum tere saath challenge aasmaan bankar.
Har khushi kam hai,
Tera gum bhulane ke liye,
Ek tera gum hi kaafi hai,
Mujhe umr bhar rulane ke liye
Unke Bewafai Par Wafa Hum Karenge
Yaad Ko Unki Dil Se Juda Hum Karenge
Itna Chaha Phir Bhi Yakeen Nahin
Aise Zindagi Jee Kar Kya Karenge
Hum to dil deneko taiyar baithe hai,
Darde mohabbat karne ko taiyar baite hai,
Par hai re meri futi kismat,
Koi dil leneko hi taiyar nahi.
Yun durr reh kar duriyon ko badaya nahi karte,
Apne deewano ko sataya nahi karte,
Har waqt bas jise tumhara khyal ho,
Usey apni awaaz ke liye tadpaya nahi karte
Haqiqat samjho ya afsana,
Begana kaho ya deewana,
Suno is dil ka fasana,
Teri dosti hai mere jeene ka bahana..
Wo ruthe is kadar ki manaya na gaya,
Durr itne ho gaye ki pass bulaya na gaya,
Dil to dil tha samundar ka sahil nahi,
Likh diya naam to fir mitaya na gaya.
Jamane se nahi to tanhai se darta hu,
Pyar se nahi to ruswai se darta hu,
Milne ki umang bahot hoti hai dil me,
Lekin milne ke baad teri judai se darta hu.
Ittefaq se hum mile,
Ittefaq se aap hume pasand aaye,
Ittefaq se hum dost bane,
Humari dosti ab ittefaq nahi,
Zindagi ki khoobsurat hakikat hai.
Dil Ki Basti Bikhar Gayi Hoti
Ke Rooh Ke Zakhm Bhar Gaye Hote
Yeh Zindagi To Aap Ki Amaanat Hai Warna
Hum To Kab Ke Mar Gaye Hote
Kaash who nagme hame sunaye na hote,
Aaj unko sun kar aansu aye na hote.
Agar isi tarah bhool hi jaana tha,
To itni gehrai se dil me samaye na hote.

Zindagi

Har kadam par imtihaan leti hai zindagi,
Har waqt naya sadma deti hai zindagi.
Hum jindagi se kya shikwa kare,
Aap jaise dost bhi to deti hai zindagi.

Shayari

Vaade pe o aitbaar nahi karte,
Hum zikre mohabbat sare bazaar nahi karte.
Darta hai dil unki ruswai se,
Aur who sochte hai hum unse pyar nahi karte.